Hello dosto! Aaj ki is post mein, main aapko sikhane wala hoon ki aap apne smartphone se 15 August status video kaise bana sakte hain. Agar aap apne social media par 15 August Independence Day ka status video dalna chahte hain, to aapko ek application download karni hogi jiska naam hai Kinemaster. Yeh application aapko Google Play Store se free mein mil jayegi aur iski madad se aap apni 15 August status video bahut hi aasan tareeke se bana sakte hain. Is post mein maine sab kuch detail mein bataya hai, toh aapko last tak padhna hoga.
Step 1: Kinemaster Application Download Karein
15 August status video edit karne ke liye sabse pehle aapko Kinemaster application download karni hogi. Yeh application aapko Google Play Store se free mein mil jayegi. Iske alawa, aapko kuchh effect videos aur PNGs bhi download karni hongi, jinke links niche diye gaye hain.
Step 2: Kinemaster Application Open Karein
Material download hone ke baad, Kinemaster application ko open karein. Open karne ke baad, aapke saamne normal sa interface show hoga. Aapko plus icon par click karna hai aur kuchh size options show honge. Aapko 9:16 frame ko select karna hai, isse aapki gallery open ho jayegi. Ab aap ek background add kar sakte hain.
Step 3: Background Length Adjust Karein
Background add ho jaane ke baad, aapko background ki length ko khich kar lambe kar lena hai. Ab aap ek photo add karein jiska background remove ho. Photo add karne ke baad, photo ko background mein adjust kar lena hai.
Step 4: PNG aur Effect Videos Add Karein
Ab hame PNG aur effect videos add karni hain. Sabse pehle PNG add karni hai. PNG add karne ke liye side mein option show hoga “Layer”, uspe click karein, phir “Media” par click karein. Aapki gallery open ho jayegi, jahan se aapne jo green PNG download ki hai usse select karna hai. PNG ko lamba karne ke baad, screen par adjust kar lein.
Step 5: Effect Videos Add Karein
PNG add ho jaane ke baad, ab effect videos add karni hain. Effect videos add karne ke liye “Layer” option par click karein, phir “Media” par click karein. Aapki gallery open ho jayegi, jahan se aap ek ek karke sabhi effect videos add kar sakte hain. Har effect video ka size full karne ke baad, effect video par click karein. Side mein kuch options show honge, niche chalein aur “Blending” par click karein. Yahan se “Screen” ya “Lighten” select karen, taaki black effect hat jaye. Last mein, 15 August PNG add kar lein.
Frequently Asked Questions(FAQs)
Kya Kinemaster application free hai?
Haan, Kinemaster application Google Play Store par free mein available hai.
PNG aur effect videos kaise download karein?
Aapko Google par search karna hoga aur wahan se download links mil jayenge.
Video size kya select karna chahiye?
Aapko 9:16 frame select karna chahiye, jo mobile screen ke liye perfect hai.
Blending mode kya hota hai?
Blending mode use karte hain taaki black background remove ho jaye aur effect videos transparent dikhaye dein.
Agar mujhe aur help chahiye to main kya karun?
Aap YouTube par “Tech Lokesh” search karke tutorial dekh sakte hain ya niche comment box mein apne questions poochh sakte hain.
Conclusion
Iss tarike se aap apni 15 August status video edit kar sakte hain. Agar aapko iss ka tutorial chahiye to aap YouTube par “Tech Lokesh” search karke video dekh sakte hain.
Dosto, “15 August Independence Day Video Editing” post aapko kaisi lagi? Aap agle kis tarah ke posts hamare blog par padhna pasand karenge? Agar aapki koi problem/question hai to niche comment box mein zaroor poochein. Main uska reply jaldi dene ki koshish karunga.